Tuesday, November 17, 2009

"Bajang Amad " pehla baab

15/11/09
I have noticed that younger generation which we believe that they are not good in Urdu , or never had the opportunity to read Urdu classics by Mohd Khan , Yousafi, or Patres Bukhari, ... they are lot better in use of on line material, and can benefit from "roman Urdu"( most used chat language)so I decided to write some parts of this book to share in roman Urdu for younger readers....

Col Mohd Khan writes....

"Bajang Aamad"
First Chapter " Muqadamah"

Yeh koi aisi markah ara inqilab awer qisam ki kitab nahi keh is per muqadmah dair kiya jay aur darasal muqadameh key bagair hi chapnay ja rahi thi keh humaray aik teddy mizaj dost Rehan Mirza khafqan tashreef lay aiy aur muswadeh dekh ker kisi qader tanzan fermanay lagay" tou yeh kitab akhir chap ker hi rahey gi?"
Arz kiya-"koi aitraz"?
Boley :"dou hain aik tou aap fauji hain, dosray aap ka naam bhi kasht karana sa hey jab kam aur naam ka yeh aalam hou tou loog baja tor per pooch sektay hain keh aapko kitab naveesi ka ishtial kaisay aagaya- yani kyun na is key bajay aik morchah khod daala ya dou char beghay zameen joot li"?
phir khud hi riyat ka aylan kertay hoey kehnay lagay:
"chalo' tumhara fauji hona tou Runkuch key sadqay maaf kia ja sakta hey'laykin nam ka kuch eilaj kerna paray ga"
Arz kia:"aap ki tashkhais hey , aap hi elaj tajveez fermaine"
Bolay:"eilaj aasan hey'isi nam key aagay peechay ya darmiyan main koi piyara sa up to date nam chipka lain'maslan,Anjum,Iram,Sahab,Surkhab,Saroosh,Santosh,wagaira wagaira".

Main abhi dil hi dil main Mohammad Santosh Khan key imkanat per ghor ker raha tha keh Khafqan Sahab bolay:" Laykin puranay nam ki marammut say bhibhi kia faida? isay siray say tark ker kay aik dam modren nam kyun nahi rakh laetay? maslan Shamshad, Ishrat,Irshad,Shameem,Riyaz Talat , Firdous Naseem wagaira".
Khafqan Sahab tou maswaray dayhar tashreef lay gay'laykinhamain sochta chor gaey aur socha hum nay yeh keh Khafqan Sahab kay tajveez kerdah nam modren tou zaroor ' hain laykin hain zara mashkook say yani in say nur ya madah ka pata hi nahi chalta aur chal bhibhi jaey tou' har waqt khatka sa laga rehta hay keh kaheen uthtay baithtay ya angrai laytay jins main hi khalul na aajay' chunachay har chund keh hamain sinf -e-azuk ke ehtaram manzoor hay' bilfael hamain sinf-e-ghair lateef main hi rehnay ka shoq hay aur mahez fashion ki khatir aapna mardanah mustaqbil makhdoosh nahi kerna chahtay'laykin Khafqan sahab key is sawal ka jawab dayna munasib maloom hota hey keh kitab likhnay ka ishtial kaesay aaya.

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts